-
Sazaa dene wale razaa puchte hain
Sazaa dene wale razaa puchte hain, Jeene ki humse vajah puchte hain,. Dete hain khud hi zeher humko aakar, Phir kitna hua hai asar puchte hain.
-
Maine jo socha wo kabhi
Maine jo socha wo kabhi paya nahi, Chahakar bhi main usko bhul paya nahi, Chahata to tha main usko apnana, Par maine usko kabhi ye bataya nahi…
-
Itne karib aye ke dur ho gaye
Itne karib aye ke dur ho gaye, Itane hanse ki rone ko majbur ho gaye, Aur ansuon ko apana mukaddar bana liya, Tanhaiyon ke shahar me ek ghar bana liya
-
Itni aasani se kaise bhul jata h koi
Itni aasani se kaise bhul jata h koi, Dur rehkar bhi yaad ata hai koi, Umar bhar yaad karte rahenge hum, Dekhte hain kab tak hame bhulta hai koi…
-
Mouth k baad yaad aa raha hai koi
Mouth k baad yaad aa raha hai koi, Meri kabr se mitti utha raha hai koi, Aye Khudha do pal ki zindagi aur dede, Meri kabr se udaas ja raha hai koi…
-
Dhoka Fareb Sab Zamane Mein
Dhoka Fareb Sab Zamane Mein Reh Gaye, Ham Pyar Ka Haq Ada Karne Mein Reh Gaye, Jo Sath Chale The Wo Aage Nikal Gaye, Hum Raste Ke Patthar Hatane Mein Reh Gaye.
-
Majburiyan hamari woh jaan na sake
Majburiyan hamari woh jaan na sake, Farmaano ko hamare woh maan na sake, Kehte hai woh hume mar kar bhi chahenge, Jeete ji hume jo pehchan na sake…”
-
Aa dard mujhe tera hi sahara hai
Aa dard mujhe tera hi sahara hai, Zakhmo ke siwa ab kaun hamara hai, Log to darte hain maut ke aajane se , Humein to zindgi ne hi badi bedardi se mara hai.
-
Tadapti Hain Yeh Saansein Har
Tadapti Hain Yeh Saansein, Har Pal Teri Judaai MeinParesaan Hai, Yeh Dil Har Taraf Faili Tanhai MeinNa Jeene Ki Tamanna Hai, Na Koi Khwabon Ka Basera Hai, Bejaan Ban Gaya Hai Dil Teri Ruswai Mein.
-
Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi
Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska Tha, Ek Main Akela Tha, Kafila Bi Uska Tha, Sath-Sath Chalne Ki Soch Bi Uski Thi, Fir Raasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha.