Poetry Collection by Harjeet Singh

Category: Love Shayari in English

  • Dil se tera Khayal na jaaye to

    Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon, Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo, Hasrat ye hain ke ek nazar dekhloon tuzhko, Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo.

  • Ishq main sab shayari karne lagte hain

    Ishq main sab shayari karne lagte hain yeh sach hai, Har lafz ki gahrayee ko pehchane ki koshish woh karta hai, Kehta ki pyar ke samander mein tairne lage hain, Par kya sach mein aap kisi se pyar karne lage hain.

  • Use Baarish Pasand thi Mujhe Baarish me

    Use Baarish Pasand thi Mujhe Baarish me Wo, Use Hasna Pasand tha Mujhe Haste Hue Wo, Use Chup rehna Pasand tha Mujhe Boltey Hue Wo, Use Sab Kuch Pasand tha Or Mujhe Sirf Wo.

  • Sirf Isharoon Mein Hoti Mohabbat

    Sirf Isharoon Mein Hoti Mohabbat Agar, In Alfazoon Ko Khoobsurati Kaun Deta, Bas Pathar Bann Ke Reh Jaata “Taj Mahal”, Agar Ishq Isse Apni Pehchan Na Deta.

  • Mousam Ki Tarah Log Bhi Badal Jaate Hain

    Mousam Ki Tarah Log Bhi Badal Jaate Hain, Do Pal Hansa Ke Umar Bhar Rulaate Hain, Bhoola Dete Hai Sab Humen Bure Sapne Ki Tarah, Aur Khud Humare Dil Mein Bas Jaate Hain.

  • Nikalta chand sabko pasand aata hai

    Nikalta chand sabko pasand aata hai, Doobta suraj kaun dekhna chahta hai, Toot’ta hua taara sabki dua isliye poori karta hai, Kyuki use tootne ka dard maalum hota hai.

  • Ham jee rahe hai sirph tumhara

    Ham jee rahe hai sirph tumhara deedaar karke, Saanse bhi le rahe hai tumhe bhi yaad karke, Khuda ke paas do-ek din ham bhi jayenge, Par vahaan bhi tumhara intajaar hai.

  • Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat

    Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti, Dil Mein Jo Chhupi Hai Who Baat Nahi Samajhti, Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein, Dard Magar Chand Ke Zalim Raat Nahi Samajhti.

  • Kadmo Ki Doori Se Dilon Ke Fansle

    Kadmo Ki Doori Se Dilon Ke Fansle Nahi Badhte, Door Hone Se Dil Ke Ehsaas Nahi Marte, Kuch Kadmon Ka Fansla Hi Sahi Hamare Beech, Lekin Aisa Koi Pal Nahi Jab Hum Aapko Yaad Nahi Karte.

  • Meri zindagi ke raaz mein ek raaz

    Meri zindagi ke raaz mein ek raaz tum bhi ho, Meri bandagi ki aas mein ek aas tum bhi ho, Tum kya ho mere kuchh ho ya kuchh bhi nahi magar, Meri zindagi ke kash mein ek kash tum bhi ho.