Poetry Collection by Harjeet Singh

Category: Love Shayari in English

  • Zindagi mein Kisi Apne ka Saath

    Zindagi mein Kisi Apne ka Saath Kaafi hai, Hathon mein Unka Hath Kaafi hai, Wo Door ho ya Pass Fark Nahi Padta, Pyaar ka to Bas Ehsaas hi Kaafi hai.

  • Likha Hai Maine Kuch Is Tarah Se

    Likha Hai Maine Kuch Is Tarah Se Ki Pasand Aye Shayad Apko, Rahe Yaa Naa Rahe Hum Duniya Me Yaad Rakhenge Apko, Agar Judda Ho Bhi Jaye Rooh Is Jism Se Kabhi Bhi, Nahi Bhulenge Hum Yaad Rakenge Apko.

  • Chaah kar bhi Judaa na reh sakoge

    Chaah kar bhi Judaa na reh sakoge, Ruth kar bhi Khafaa na reh sakoge, Hum Pyaar hi kuch aise Nibhayenge, Ki aap Hamare Bina Ek Pal bhi na reh sakoge.

  • Muskilon Se Ghirkar Bhi Kabhi

    Muskilon Se Ghirkar Bhi Kabhi Aapka Saath Na Chhodenge, Agar Qayamat Bhi Aayegi Kisi Mod Pe To Uska Rukh Modenge, Yun To Hum Kabhi Kisi Se Wada Nahin Kiya Karte, Par Aapse Kiye Huye Har Ek Waade Ko Kabhi Na Todenge.

  • Teri ankhon ke nashe mai doob jau

    Teri ankhon ke nashe mai doob jau, Teri julfooo ki chao mai khud ko bhul jau, Teri hoothon ki hasi ko pee loo sanaam, Aa kareeb mere teri bhaahon mai khud ko bhul jau.

  • Thak gaye aankhen aur kitna intajaar karu

    Thak gaye aankhen aur kitna intajaar karu, Tu hi bata dil ko aur kitna bekaraar karu, Na tum khud hi aaye aur na khat hi bheja, Tere waado par ab aur kitna main aitbaar karu.

  • Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo

    Tamana Hai Meri Ki Aapki Aarzoo Ban Jaun, Aapki Aankh Ka Tara Na Sahi Aapki Aankh Ka Aansu Ban Jaun, Main Aap Ki Zindagi Ki Khushi Banu Ya Na Ban Sakun, Aapke Gham Mein Aapka Sahara Ban Jaun.

  • Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai

    Ye Dil tere liye beqarar aaj bhi hai, Meri aankh ko tera intizar aaj bhi hai, Tu aayegi ye umeed hai mujhe….. Tujh ko pane k liye ye tera deewana aaj bhi hai. ..

  • Ek Din Aap Hamein Hi Chahoge

    Ek Din Aap Hamein Hi Chahoge Dekh Lena, Hum Khuda Se Aapko Maang Laayenge Dekh Lena, Shayad Aapko Hamari Mohabbat Ka Ehsas Nahi Hai, Aapse Hi Iska Izhaar Karvaayenge Dekh Lena.

  • Tanhaion me unko hi yaad karte hain

    Tanhaion me unko hi yaad karte hain, Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai, Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai, Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.