Poetry Collection by Harjeet Singh

Category: Love Shayari in English

  • Pyaar Karte Hain Tumse Kitna

    Pyaar Karte Hain Tumse Kitna Kabhi Dikha Na Sake, Tum Kya Ho Hamare Liye Yeh Kabhi Bata Na Sake, Kya Hu Jo Aaj Tum Sath Nahi Ho Fir Bhi, Tumhari Kisi Bhi Yaad Ko Hum Bhula Na Sake.

  • Mera iqrar tere inkar se achha hoga

    Mera iqrar tere inkar se achha hoga, Mera har din teri har raat se achha hoga, Yakee na aaye to jara doli se jhaank kar dekh, Mera janaaja teri baaraat se achha hoga.

  • Rishton ki Dori Kamjor Hoti Hai

    Rishton ki Dori Kamjor Hoti Hai, Aankhon ki baaten dil ki chor hoti hai, Khuda ne jab b puchha dosti ka matlab, Hamari ungli Hamesha aapki ore hoti hai, Aapki ungli Hamari ore hoti hai.

  • Tumko Mai Bahut Pyaar karta hu

    Tumko Mai Bahut Pyaar karta hu, Magar Zuban se keh nahi Paata hu, Halat Dil ki aab ye ho gai hai, Ki Tumhare Bagair raha nahi jata.

  • Tanhaiyon me muskurana ishq hai

    Tanhaiyon me muskurana ishq hai, Ek baat ko sab se chupana ishq hai, Yun to neend nahi aati hamein raat bhar, Magar sote sote jagna aur jagte jagte sona ishq hai..

  • Mohabbat har Insan ko

    Mohabbat har Insan ko ajmati hai, Kisi se ruth jati hai kisi pe muskurati hai, Mohabat khel hi aisa hai, Kisi ka kuch nahi jata aur kisi ki jaan hi chali jati hai.

  • Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko

    Jiski Yaad Me Sare Jahan Ko Bhul Gaye, Suna Hai Aajkal Vo Humara Naam Tak Bhul Gaye, Kasam Khai Thi Jisne Sath Nibhane Ki Yaaro, Aaj Wo Humari Lash Par Aana Bhul Gaye.

  • Wafaa ke badle bewafayi naa diya karo

    Wafaa ke badle bewafayi naa diya karo, Meri umeed thukra ke inkaar naa kiya karo, Teri mohabbat me hum sab kuch kho bethe, Jaan chali jayegi yu imtihaan naa liya karo.

  • Na Main Tumhey Khoona Chahta

    Na Main Tumhey Khoona Chahta Hum, Na Teri Yaad Mein Rona Chahta Hun, Jab Tak Zindgi Hai Mein Hamesa Tumharey Sath Rahunga, Bas Yahi Baat Tumse Kahna Chahta Hun.

  • Dil ke dard ko dil torne wale

    Dil ke dard ko dil torne wale kya jana, Pyar ki rasmo ke yeh zamane wale kya jane, Hoti hai kitni taklif kabar ke niche, Yeh upar se phool charane wale kya jane.